Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Rihaye mile gi Hume kab yahaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Rabab e Hazeen ne jo dekha yeh manzar
To phir rah gaya hai kaleja tadap kar
Chala teer jo hurmula ki kamaaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Aseeri ki chadar, Yateemi ke saaye
Yeh dushman ko bhi din, Khuda na dikhaye
Rahe phool kaise juda Gulistan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Khamoshi se inke sitam ham uthayeN
Magar koi shikwa na hotoN pa layeN
Pade taaziane, jo boleN zabaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Sukoon dil ko aakhir, ho kaise mayassar
Mara teer kha ke, Mera Bhai Asghar
Woh kilkaariyaN ab sunuN maiN kahan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Madine ki yaadeN satati haiN mujhko
Bohut khooN ke aasu rulatiN haiN Mujhko
Rahe door kab tak koi aashiyaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Tarayi se aatiN huiN nam hawaen
Talab tashnagi ki badha kar satayeN
Koi inse kah de na guzreN yahan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Chala Halq e Sheh par jo Maqtal mein khanjar
NasheboN meiN royi bohut eik Madar
Zameen royi, barsa lahu aasmaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Ke jo baagh e yasrab mein phoole phale haiN
Wohi phool jalti zameen par pade hain
Bacha le unhe koi zalim khiza se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Yeh Beemar Bhai pa jor e jafa hai
Rasan bazooN meiN gala bhi bandha hai
Lahu ab bhi jaari hai tauq e garan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
DarindoN ki basti yeh Karbobala
Inhe khoon insaan ka moh ko laga hai
Nazar jis par utthi gaya apni jaan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Tassawur mein bhi badkhayali na aaye
Ghulam e Ali Zindagi yuhn bitaye
Ba eemaan ban kar uthe is jahan se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se
Gham e Sheh salamat rahe chashm e nam se
Magar gham jahan ka rahe door hum se
Raza* ki dua hai Imaam e ZamaN se
Tadap ke yeh poocha Sakeena ne Maa se