Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Ho Haram meiN bhi to aisi bandagi achchi nahiN
Khush na thEy jo dosh e Mustafa par be Khuda
Jo bahaana dhooNde woh Paighambari achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali* achchi nahiN
Deikh kar Abbas ko bhaage, yeh kahte lashkari
Deikho saahil par nazar Abbas ki achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Qatl e Marhab se hamara yeh aqeeda ho gaya
DushmanoN ke waaste Naad e Ali achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Baab e Haider per na utre to Sitara kya karey
Baab e Haider ke siwa deodhi koi achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Zikr e Haider sunn ke wo tadpe, na to phir kya karey
Zakhm gahra ho to be’shak raushni achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Qarya qarya phir rahey haiN jo aqeede dostoN
Unn se kah do deen mein saudagari achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Zikr e Haider sunn, Ameer e Sham ki bateiN na kar
xxxx xxxx ke saamne jaadugari achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Madhe Haider keejiye, ya Karbala par boliye
Jo baraaey naam ho, woh Zaakiri achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Aey meri aaNkhoN ki badli, khoob ghir ghir kar baras
Majlis e Sarwar meiN, ashkoN ki kami achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali* achchi nahiN
Mustafa ke noor ki Baradari ke ma’siwa
Do jahaN meiN eik bhi Baaradari achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN
Aarzoo hai meiri Mahir*, umr rokar kaat dooN
Yaad e Sarwar se khushi ki zindagi achchi nahiN
Ta’atey Ma’bood be hubbe Ali achchi nahiN