Sughra ka tha yeh bayan, Nanhe Musafir mere
Kar diya soona makan, Nanhe Musafir mere
Chhain nahi hai mujhe, jabse gaye chod ke
Karti huN har dum fugaN, Nanhe Musafir mere
Tum par maiN qurbaan huN, aao to hoye sukoon
Gham se ab hai dil tapa, Nanhe Musafir mere
Dil na thehra jab zara, naame meiN Sheh ko likha
Kaise haiN Shah e Huda, Nanhe Musafir mere
Jhoole ki khaali jagah, dekh ke aey Dilruba
GirtiN haiN ab bijliyaN, Nanhe Musafir mere
Chaand si surat Teri, aankhon se ojhal hui
MaiN rahi karti fugaN, Nanhe Musafir mere
Tumse hai haajat Padar, likhna yeh mujhko khabar
BhooleN haiN Mujhko wahaN, Nanhe Musafir mere
Choomna uska gala, keh ke yeh Shah e Huda
Marti hai Khwahar yahaN, Nanhe Musafir mere
Badh gayi mannat Teri, kuch na khabar yeh hui
Utri hai kab hansliya, Nanhe Musafir mere
Dekh kar Shah e Zama’n, naame ko bole Behen
Karti hai Sughra bayan, Nanhe Musafir mere
Likha hai jinko salam, deta hun jaakar payam
BhejeN haiN jaakar jahaN, Nanhe Musafir mere
Turbate Besheer par, Sheh ne kaha peet kar
Sughra ka sun lo bayan, Nanhe Musafir mere
Kis tarah choomu gala, teer hai utra hua
Aey mere aaram o jaaN, Nanhe Musafir mere
Bhej du kyukar watan tumko mai Guncha Dahan
Phir gaya Mujh se jahan, Nanhe Musafir mere
Keh ke yeh Hashim* uthe turbate Besheer se
Tum pe khuda ki amaa’n, Nanhe Musafir mere