Subha Ka Tara Jhilmilata Hai
Dekhiyea kya Khuda dkhata hai
Kah rahen hain azaN Shabi e Rasool
Naam e Akbar hume rulata hai
Milta paani nahin wudu ke liye
Khaakh mooh par har eik lagata hai
Fauj e aada meiN tabal e jung baja
Ghaiz Abbas ko ab aata hai
Haath jaata hai tegh ke oopar
Aur Bal abroo par aaya jaata hai
Khatm kar ke namaaz Shah ne kaha
Dekhna Bhai kaun aata hai
Aaye aawaaz Hur hai ai Maula
Bhai ko aur Pisar ko laata hai
Jo khata ki hai us par nadim hai
Jod kar haath bakshwata hai
Shah ne Farmaya khair aane do
Bigdi taqdeer who banata hai
Haye afsoos Fatima ka Pisa
Laash har eik ki rann se lata hai
Subha Ashoor subha mahshar hai
Dekh kar humko rona aata hai
Dasht e Karbobala mein aafate khaiz
Zaher sabse ka phaila jaata hai
Bujh rahen hain chirageN aalam ke
Chand maghrib meiN dooba jaata hai
Mominoon Karbala meiN Shah e Hijab
Taate Rab meiN sar jhukata hai