Shio’n ke Sardaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida
Taziyekhano’n se ab, hote hain rukhsat Imam
Dil pe hai ranjo taa’b, hote hain rukhsat Imam
Akhri matam hai aaj, hote hain rukhsat Imam
Kah lo azadaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Husain Alwida
They yeh Sakina ke bayn, haye Chacha al -atash
Aaye ga kyunkar se chayn, haye Chacha al -atash
Khemein mein hai shor o shain, haye Chacha al -atash
Sheh ke Alamdar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtar, Husain Alwida
Naher pe shaane kate, aah Alamdaare Shah
Paani na pahoncha sakey, aah Alamdaare Shah
Bachchey bhi pyase rahe, aah Alamdaare Shah
Fauj ke Sardar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida
Matami saf uth gayi, khatm Moharram hua
Koi na raunaq rahi, khatm Moharram hua
Poori na hasrat hui, khatm Moharram hua
Roein azadaar, Hussain Alwida
Deen k Mukhtaar, Hussain Alwida
Kha ke sina mar gaya, Shah ka woh Kadiyal Jawaa’n
Reti pe tadpa kiya, Sheh ka woh kadiyal Jawaa’n
Pani na jisko mila, Sheh ka woh kadiyal Jawaa’n
Rukhsate Didaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida
Mar gaye Shahe Huda, daswein Moharram ko aah
Qatl hue aqraba, daswein Moharram ko aah
Koi na baaqi raha, daswein Moharram ko aah
Aye mere Ghamkhwar, Hussain Alwida
Deen k Mukhtaar, Hussain Alwida
Kahte hain Shia tamaam, haye Hussain Alwida
Tashna labo tashna kaam, haye Hussain Alwida
Aye mere Shahe Anaam, haye Hussain Alwida
Bekaso lachaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaa,r Hussain Alwida
Shah ki na khidmat hui, Kahti thi Akthar* yahi
Haye meri kismat buri, Kahti thi Akthar* yahi
Zaayar na ab tak bani, Kahti thi Akthar* yahi
Kahti hai nadaar, Hussain Alwida
Deen ke Mukhtaar, Hussain Alwida