Haaye Hussain, Haaye Hussain
Shimr Ne Gardan E Mazloom Pe Khanjar Jo Rakha
Kuchh Qadam Door Se Deti Rahi Zainab Ye Sada
Aakhri Baar Bahen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Teer Jee Bhar Ke Ise Maar Chuka Hai Lashkar
Barchhiyan Pahlu Me Tooti Hain Sitam Aur Na Kar
Khud Hi Aa Jayegi Kuchh Der Mein Bhai Ko Qaza
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Bahen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Minnaten Karti Hoon Zalim Teri Aisa Tu Na Kar
Asr Ke Waqt Mere Ghar Me Andhera Tu Na Kar
Shaam Se Pehle Bujhaata Hai Charagh E Zahra
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Bahen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Sun Ke Halmin Ki Sada Aayi Hai Rann Me Bachchi
Chal Na Jaaye Kahin Donon Pe Layeen Teri Chhuri
Dekh Bhai Ke Gale Par Hai Sakina Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Bahen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Dekh Sakta Nahi Tu Jo Nazar Aata Hai Mujhe
Wasta Deti Hoon Tatheer Ki Aayat Ka Tujhe
Haath Amma Ne Hai Shabbir Ki Gardan Pe Rakha
Shimr Khanjar Na Chala
Aakhri Baar Bahen Choom Le Bhai Ka Gala
Shimr Khanjar Na Chala
Kaat Kar Sajde Mein Akbar Shahe Wala Ka Gala
Shimr Hansta Hua Shabbir Ke Seene Se Utha
Goonjti Rah Gayi Maqtal Mein Ye Zainab Ki Sada
Shimr Khanjar Na Chala