shashum maahe aza ko Karbala meiN hashr barpa tha

Noha

shashum maahe aza ko Karbala meiN hashr barpa tha
Hussain ibne Ali se munharif saara zamaana tha

khayaame Shaahe deeN uthwa rahEy thEy naher se aadaa
Alamdaare Hussain ibne Ali ko ghaiz aataa tha

yahaaN tO roaktEy thEy jUng se Abbas ko Sarwar
laRaai aaj hi ho, hAr shaqi ka waaN iraada tha

CaRha kar jisko kaaNdhey pAr Payamber fakhr kartE thEy
usi ibne Rasul_Allah pAr faujoN ka nargha tha

ba_majboori hataaey uss ne apne khaime darya se
ke jiski milk meiN aey mominooN hAr eik darya tha

idhar tO naher se khaime haram ke uthte jaate thEy
udhar Shappir ki aaNkhoN se jaari khooN ka darya tha

yeh kaisa inqelaab aaya zamaane meiN ke darya pAr
khayaam aada ke uss ja haiN jahaan pAr ShAh ka khaima tha

habaab iss gham se ab tak sAr patakte haiN lab’e saahil
ke Shaahe bahr o bAr ke waaste darya pa pahra tha

yeh qismat thi jo ek shabb bhi rahEy aey Fikr* raoze par
hUmm aise aasiyoN ka Karbala meiN kab thikaana tha

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *