shaheed’e zahr, dil o jaane Fatima Zahra
dahum Imam Ali Un Naqi shAhe waala
shaheed imam Mohammed Taqi huey thEy jab
to chah baras ke Madine meiN thEy imam’e huda
kiya talab Mutawakkil ne bheij kar naamey
gaey Iraq to phir Shaah’e DeeN ko qaid kiya
rahe hiraasat’e shaahi meiN baarah saal magar
rahi eta’at o tableegh’e haq ki fikr sada
tha bahr’e ilm ka faiz az Iraq ta ba Ajam
hAr eik simt se aate thEy ilm ke joya
khilaaf guzri jo Hazrat ki shohrat’e ilmi
to shaah’e waqt ko AbbasiyoN ne bhaRkaaya
jab aa gaya Mutawakkil ko maut ka paighaam
to sultanate meiN bahut sakht inquilab hua
na aaya takht’e khilaafat pa Motazil mal’oon
to zahr uss ne imam’e Zaman ko dilwaaya
tha saal Hijri woh do sau pachaas o chaar aey Fikr*
do_shamba teesri maah’e Rajab ko hashr hua