shaheed zaher se hona to tha Hasan ke liye
bana tha Shimr ka khanjer ShAh’e zaman ke liye
hai tauq’e aaheni Sajjad’e khasta tAn ke liye
aur Ahle Bait ke baazu falak rasan ke liye
libaas’e Khuld jisey Eid mein diya haq ne
hazaar haif woh mohtaaj hai kafan ke liye
jawaan honEy na paaEy ke rUn meiN qatl huEy
thi kUmsini ki shahaadat bine Hasan ke liye
thEy Karbala mein sUd_afsoas, roaz’e Aashoorah
zamaane bhar ke masaaeb ShAhe zaman ke liye
Yazeed ke liye tO takht o taaj, kyuN aey cHarkh?
sAr’e Hussain hai darbaar mein lagan ke liye
jahaaN meiN Shiyon ka jAbtak geroah baaqi hai
alam raheiga, Alamdaar’e sAfshikan ke liye
Rasool’e paak jise cHoomte thEy rah rah kar
chaRi Yazeed ki hai, uss lUb o dahan ke liye
firaaq’e Panjetan’e paak mein sadaa roaeiN
hui thi khilqat’e gham Shaah ki bahen ke liye
jinhoN ne khalq mein pardey ki rAsm jaari ki
woh Ahle Bait haiN zaalim ki anjuman ke liye
hai Fikr* Hind meiN be_taab ya imam’e Raza
bula lo rauzaey aqdas pa Panjetan ke liye