Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Ajal ne kar diya khali bhara hua Jhula
Koi toh kash yeh kehta naa zalimo luto,
Ke ek dukhe hue dil ka hai aasra Jhula.
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Humakh ke aa gaya Baba ki godh baccha,
Tadapti maa ke liye chod kar chala Jhula.
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Lahad me aaye the jhule ko chod kar Asghar
Toh zalzaloN ne lahed ko bana diya Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Tamam raat tha nazroN meiN katl ka manzar
Shabe dahum kisi bekas se kam na tha Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Har ek Shaheed ka lasha tha saamne uske
Liye tha godh me tasveere Karbala Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Dil-e Rabaab tadapta tha ab jhulane ko
Tha isterab musalsal ruka hua Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Thay maa ke hath rasan me bandhe pase gardan
Jhula rahi thi magar maa ki mamta jhulaa
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Kahani reh gayi Asghar ki khoon rulane ko
Naa reh gaye Ali Asghar naa reh gaya Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula
Lahoo ke ashq tapakte haiN Faiz* aankhon se
Nazar jo aata hai Asghar ka khoon bhara Jhula
Shaheed ho gaye Asghar, ujad gaya Jhula