Shahadat pa gaEy zahr’e wegha se paaNchweiN rahbar
imame ins o jin Hazrat Mohammed Baqare athHar
Hisham Ibne Malik jab aapse kuch bahes karta tha
shikast usko barabar deita tha woh Ibne Paighamber
kudoorat ke sabab, bahr’e talab ek roaz zaalim ne
kiya ghoaRa rawaana, zeen’e sAm aalood kaswaakar
suna jis dAm sawaari aai hai darbaare shaahi se
haram se milke nikle aur baithEy pushte markab par
asar phaila jasad meiN zahr ka, markab pa jab baithEy
hua maa’el ba sabzi chAnd sa’at meiN tAne anwar
do_shamba saat zilhijja sAn ek sao sola hijri thi
utha duniya se jab noor e nigaahe Abide muztar
seh shamba, pandarah maahe Rajab thi, saal sattaawan
hua tha Fikr* jab paida woh Ibne Saaqiye Kausar