Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Mazaloom e Bekas ka purard fasaana hai
Shabbeer ki haalat par khoo dil ka bahana hai
Abbas-E-Dilaavar ke gham ne To kamar todi
Us par abhi Akabar ki mayyat bhi uṭhaana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Baiṭhe hue Zainab se farama raheN haiN Maula.
Aṭṭhaarah AzaeezoN ki saf tumko bichana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Jis waqt tahay khanjar mai hoon ga sare maqtal
Baalee pa Meri tumako rote hue aana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Be gor o kafan laasha phir dekh ke maidaan mein
Chaadar meri mayyat par ashkoN ki uḍhanaa hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Sab goad ke paalon par rona hai tumhe Khwahar
Har eik ka maidaN se laasha mujhe laana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Zainab ne kaha Bhaiyya lillaha dua maaNgo.
Mar jaaon agar mujhko gham sab ka uṭhana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Shabbeer ne faramaya insaaf karo Zainab
Jo maine sahe sadme kuchh unkaa thikaana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Yeh kar ke iraada maiN aayaa tha Madeene se,
Ghar-baar luṭana hain jangal ko basaana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Is dasht ko saupun ga Gulzaar e Mohammad maiN
Aur shimr ke khanjar se sar Apna ka ṭaana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Itni hai kahaN mohlat jo sab ki bane QabreN
Haan eik lahad mujhko Asghar ki banaana ha i
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Yeh kah ke uṭhe Hazrat nazdeek se Zainab ke
Jaata hun Khuda-haafiz ab sabr dikhana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Phal barchi ka seene meiN utra hai Nikaloo who
Akbar ko kaleje se gar Tumko lagaana hai
Shabbeer ki haalat par khooN dil ka bahana hai
Hashim* karo maatam ab sar peeṭ ke majlis meiN
Bekas ki, Musaafir ki haalat jo sunaana hai