Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi B eemar ki choti Bahen
Chinn gaya jab zindigani ka maza, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Mamta rakkhe hue thi dil pa haat, soochti thi chhut gaya beti ka saath
Qaid e gham mein aur sannata hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Kah rahe thay zindagi ke char saal kar gaye Sarwar ki dukhtar intequaal
Kamsini mein zulm hai kitna bada, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Aap hain masroof e giriya iss taraf, aur qayamat aa chuki hai us taraf
Hazrat e Zainab se Bano ne kaha, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Bhai ki bahoon mein baahon daal kar, maut ka tai kar liya aakhir safar
Dekhti Baba ka kab tak raasta, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Di kise ne jaa ke Zainab ko khabar, koi yeh kahte hue aa ya nazar
Is qadar shiddat se yaad aaye Chacha, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Deed ki khawish thi poori ho gaye, Maa kalejaa thaam ke rone lagi
Jab Sar e Sibt e Payambar aa gaya, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Waqt e aakhir iss liye tha intezaar, dekh le soorat to aa jaye qaraar
Karbala ke baad se dekha na tha, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
HaddiyaN thin pyaas se sookhi huin Thi Phupi ke goad mein baithe hui
Dard ki shiddat ne jab hamla kiya, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Eik hi Ishrat* sada thi har taraf, Ya Ali e Murtaza Shah e Najaf
Hasrata wa Hasrata wa Hasrata, mar gayi Beemar ki choti Bahen
Shaam ke Zindaan mein yeh ghul hua, mar gayi Beemar ki choti Bahen