Sarwar Se Koi Pooche Marna Ali Akbar Ka

Noha

Aasaan nahin padhna nauha Ali Akbar ka
Sarwar Se Koi Pooche Marna Ali Akbar Ka

Laila ne kaha ro kar kis tarahan karoon rukhsat
Main dekhte hi jeeti hoon chhera Ali Akbar ka

Attharan baras jisne paala Ali Akbar ko
Dekhe woh Phupi kyonkar laasha Ali Akbar ka

Marne ko azaadaron yeh zulm hi kya kam hai
Naizen se hua zakhmi seena Ali Akbar ka

Ya Shah-e-Najaf badh ke ab Aap sahara dein
Maula se nahin uttha laasah Ali Akbar ka

Dahleez par sar rakkhen aasoon liye aakhon mein
Beemar Bahen dekhey rasta Ali Akbar ka

Laila na kaha Sughra Akbar to nahin palte
Taskeen ko laye hoon kurta Ali Akbar ka

Is dil mein Fareed* apne ab ek hi hasrat hai
Padhte huey mar jaaon nauha Ali Akbar Ka

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *