Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Noha

Mujhe mare tamache goshware bhi mere chheney
Kisi zalim ne itna bhi na soocha main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Bula ke phir mujhe eik baar seene se laga leejiye
Sakina hoon Sakina mere Baba main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Phupi ki goad mein neend aayegi kis taraha mujhe
Mujhe yaad aaye ga seene pe sona main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Ali Asghar ko jaam e aab Dada se mila hoga
Magar mujhko abhi rahna hai pyaasa main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Ali asghar sukooN se aap ki aagosh mein hoga
Mujhe ab aap hi deejea sahara main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Mere Ammu se kah deejea tarai se chale aayeN
Karoongi ab nahiN paani ka shikwa main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Suna hai qaid ho ke shaam ke zindan meiN jaana hai
Abhi guzregi mujhpe jaane kya kya main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Bula leejiye mujhe aagosh mein Hum Shakl e Paighambar
Bahen hoon aap ki ai mere Bhaiyya main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Zameen e garm par Tayyab* tan e besar tadapta tha
Sada deiti thi binte Shah e Wala main Sakina hoon
Sare maqtal Sakina ka tha Nauha main Sakina hoon

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *