Salaam khaak nasheeno pa sogwaron ka
Ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka
Salaam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai
Salaam us pa jo zahmat kashe salaasil hai
Musibaton may Imamat ki pehli manzil hai
Salaam bhejte hai apni Shahzadi par
Ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar Sarwar
Musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi
Nisar kar diye bache na bach saka Bhai
Aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
Hussainiyat hai sikhaana Ali ke lehje may
Sakina bibi tumhare ghulam haazir hai
Bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai
Ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye Bibi
Kahan pa baithi ho khaime to jal gaye Bibi
Pahaar raat, bari der hai sawere may
Kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may
Zameen garm, yateemi ki sakhtiyan Bibi
Woh seena jis pa ke soti thi ab kahan Bibi
Janaab-e-Maadar-e-Baysheer ko bhi sab ka Salaam
Ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam
Abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
Abhi to godh ki garmi na kam hui hogi
Nahin andhere main kuch soojhta kahan dhundhen
Tumhara Chaand kahan chhup gaya kahan dhundhen
Na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
Tumhari maang bhi ujdi hai kokh bhi ujdi
Nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz
Darinde aur ye bewa-risi khuda hafiz
Shareek-e-haq darood-o-Salaam-e-Payghambar
Salaam Sayyid-e-Lawlaak ke lute ghar par
Salaam Mohsin-e-Islam khasta tan laasho
Salaam tum pe Shaeedon ke be-kafan laasho
Salaam tum pe Rasool -o-Batool ke pyaro
Salaam Mehr-e-Imamat ke gird sayyaro
Bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai
Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai