Sakina (sa) Ka Lasha – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Sakina…(4)
Innalillah Innalillah…(2)

Chale aao abbas Dene ko kandha (2)
Uthate hai aabid sakina ka lasha..

Chale aao abbas Dene ko kandha..
Uthate hai aabid sakina ka lasha..
Qayamat hai zindaan mein Aaj barpa (2)
Uthate hai aabid sakina ka lasha..

Chale aao abbas Dene ko kandha
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Hai dastoor ye parde daroon ke ghar ka
Ye beti ka lasha hai shab mein uthega (2)
Sitaro se kehdo ke karde andhera
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Falak hil raha hai zameen kaapti hai
Labon par musafir ke nade ali hai (2)
Imamat ke hathon mein hota hai larza
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Gale se lagale bhen ko uthale
Janaze ko sajjad kaise sambhale (2)
Hai dhiyaan iski tooti huyi pasliyon ka
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Dua kar Rahi thi musalsal qaza ki
Badi aarzu thi isse karbala ki (2)
Chali apne baba se Milne ko dukhiya
Uthte hai aabid sakina ka lasha

————————————

5. Woh kehti thi kab Ghar ko jaenge Bhai
Ye hasrat qaza bhi mitane na payi (2)
Madine ki janib hai dukhiya ka chehra
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Usse kya khabar thi ke aise lutegi
Na beta rahega na beti rahegi (2)
Nikal Jaye dam hi na asgar ki maa ka
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Watan mein garibul watan woh ali tha
Hai pardes mein ye ali besahara (2)
Uthaya tha haider se Zahra ka lasha
Uthate hai aabid sakina ka lasha

————————————

Takallum ye maiyat hai bekas behen ki
Qamar jhuk Rahi hai qaribul watan ki (2)
Bahattar janazo se bhari janaza
Uthate hai aabid sakina ka lasha

Innalillah Innalillah….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *