Sakina Rah Gaye Pyaasi Yeh Hai Abbas Ka Nauha

Noha

Sakina rah gaye pyaasi Yeh Hai Abbas Ka Nauha
Laho bhi de diya apna, Sakins rah gaye pyaasi

Mera laasha suey khaima na le jayen Shah e Wala
Wahan sab ko gila ho gaya, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Main ibn e Saqiyea Kausar, mera mansab hai saqqaye
Hua jaata hoon sharminda, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Diya tha usne mashkiza badi ummeed se mujhko
Main kaise ghar chaloon Aaqa, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Main jab bhi sooch leta hoon, Tadap jata hai dil mera
Meri aakhoon ne bhi dekha, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Jise khud apne haatoh se, Alam ke saath bandha tha
Ka kaam aaya woh mashkiza, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Mere haaton ka kat jaana, Qayamat to kaha jaye
Qayamat yeh hui barpa, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Main tashnalab palat aaya, koi shikwa nahin mujhko
Mujhe hai bas yehi sadma, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Yahi ek baat kaate ke tarah dil mein khatakti hai
Mere qabze mein tha dariya, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Ali o Fatama ke saamne jis waqt jaaon ga
Unhe kaise bataoon ga, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Tassavur jaam e Kauthar ka nazara baagh e jannat ka
Mujhe achcha nahi lagta, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Bohut roye Shah e Ala jo Abbas e Dilawar ne
Yeh kak kar apna dam toda, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Bahaye khoon ke aasoon mere aakhon ne ai Urfi*
Larazte haaton se likhta, Sakina rah gaye pyaasi
Yeh Hai Abbas Ka Nauha, Sakina rah gaye pyaasi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *