Sakeena Tujhse Sharminda Hai Ammu

Noha

Kat gate hath chidi mashk hui Jaan Fida
Haye Maqtal se Alamdaar Sada Deta Raha

Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Hui teeron se chalni mask teri, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Badi umeed se toone ye mashkeeza diya tha
Bujhegi pyaas teri maine ye wada kiya tha
Ye sadma hai ke teri aas tooti, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Bada arman tha kahimon main pani leke aata
Tera kuza main bharta tujhko seene se lagata
Na ho payi koi hasrat bhi poori, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Main wapas laut kar khaimen ab kis tarh aaun
Kiya tha tujhse jo vada vo kaise bhool jaun
Na pohche lash bhi khaimen main meri, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Lagaye zalimon ne jis ghadi munh par tamache
Chacha ki lash tharraai sakeena ki fugan se
Sada dariya kinare se ye goongi, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Rasanbasta chali jis lamha ghazi ki bhateeji
Hua khoone jigar Abbas ki aankhon se jaari
Na sar thera balandi par sina ki, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Waseem ab bhi sada ye karbala se aa rahi hai
Chacha ko fikr teri aaj bhi tadpa rahi hai
Dayare shaam main too hai akeli, Sakeena tujh se sharminda hai ammu
Nahi pohcha saka khaimon main pani, Sakeena tujh se sharminda hai ammu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *