safar ki bast o hashtum ko uthEy duniya se Paighamber

Noha

safar ki bast o hashtum ko uthEy duniya se Paighamber
isi taareekh naana ke qareeN jannat gaEy Shabbar

hui hijrat zamaane se Nabi ki gyaara hijri meiN
san’e panjaah meiN maara Hasan ko haaEy sAm deikar

na kyuNkar donoN aaNkhoN se baheiN aaNsu ke woh gham hai
jigar ka zakhm hai ek, doosra daagh’e dil’e muztar

Janabe Sayyada roane na paaiiN baap ke gham meiN
huEy kya kya sitam baad’e Rasul Allah itrat par

jalaan’e aaEy baabe ilm’e Paighambar ka darwaazah
yeh kaisa zulm tha duniya meiN kyuN aey Charkh’e kina_warr

giraaya Fatima Zahra pa darwaaza laeenoN ne
rasan meiN haif hai baaNdha gulooey Haidere Safdar

janaaza jab Hasan ka nizd’e qabre Mustafa pahoNcha
to baarish chaar jaanib se hui teeroN ki, laashe par

na paai qabr iss bei_kas ne naana ke qareeN hAi hAi
charhaate thEy sada kaaNdhe pa jisko apney Paighamber

ziyaarat bhi nahiN mumkin hai ae Fikr* iss zamaane meiN
mitaaya najdiyoN ne yuuN nishaane raozaey athHar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *