Sada yeh aati thi Zahra ki, run mein haaey Hussain
Pada hai khaak pa maqtal mein sar kataaey Hussain
Tujhe laeenon ne pyasa shaheed kar daala
Diya na qatra bhi paani ka tujhko hai Hussai
Pada hai khaak pa Zahra ke qalb ka tukda
Jigar pa apne 72 ke zakhm khaaey Hussain
Faras se gir ke kiya sajdaey Khuda e Qadeer
Chala galey pa jo khanjar to muskuraaey Hussain
Ghire they narghaey aada mein iss tarah Sarwar
Talaash karti thiiN Zainab nazar na aaey Hussain
Jawaan laal ke seene se khainch li barchi
Zara bhi haath tumhaare na thartharaey Hussain
Muh apna pher ke mauje Furath ki roye
Jab apni goad me Asghar ko rann me laye Hussain
Khata mawaaf jo Hur ki Imaam ne kar di
To apne haathon se choye jari ne paye Hussain
Hazaaron mushkilen tujhpe padi, magar Parvez*
Jahan bhi tumne pukara maddad ko aaye Hussain
Sada yeh aati thi Zahra ki, run mein haaey Hussain
2 replies on “Sada ye aati thi Zahera ke rann me haai Husain”
Thank u for sharing it.
Allah qubool kare parvez sahab k darjaat biland ho aameen