Sabke lab par siskiyan hain Karbala se Shaam tak

Noha

Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak
BaazuoN mein rassiyan haiN, Karbala se Shaam tak
Berida saydania haiN, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Asghar o Abbas o Akbar Yaad aate jab yahan
Kafilon mein ro padi hain cheekh kar sab BibiyaN
Hichkiyaan hi Hichkiyaan, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Aabid e Beemar ke gardan mein hai Tauq e Garan
Aur uspe taaziyaone se hai zakhmin Natawaan
Paoon mein bhi beriyan hai, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Paoon mein chale pade hain, choor zakhmon se badan
Bekas o mazloom Aabid, besahara, bewatan
Har qadam dushwariyaN hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Eik bhi apna nahin koi yahan poochey jo haaal
Zalimon ke khauf se hain tashnalab bachche nidhaal
Pyaas hai aur siskiyaan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Zulm Ahmad ke gharane par huey hain beshumar
Chadareen sab ki chhini hain kya Ruqayya kya rabaab
Sar jhukaye Bibiyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Bekason ka haal koi poochne wala nahin
Ab koi parda nahin hai, ab koi saaya nahi
Sar khule Saidanyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Bachche bachche ne uthayen hain yahan ranj o alam
Kaun hai, kisne kiyen hain in gareebon par sitam
Har taraf khamooshiyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Narghay e aada mein itrat hai Shah e Mazloom ki
Jis taraf uthtin hai nazaren Zainab o Kulsoom ki
Maut ki parchayian hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Kafile ki Sarparasti kar rahin hain hamgusaar
Baad mein Abbas ke, Zainab banin hain zimmedaar
Ab yeh Zimmadaariyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Taziyanon ki sadaen goonjtin hain dam ba dam
Zindagi ki saas le sakte nahin Ahle Haram
Kis qadar paabandiyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Kis tarah ki daastan likhe ga Nazmi * ka qalam
Bekasi mein tashnalab jaage hue hain Ahle Haram
Aur shabbedaariyan hain, Karbala se Shaam tak
Sabke lab par siskiyan hain, Karbala se Shaam tak

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *