Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Ya Hussain
Jari hai sadiyon se safar karbobala ka
Karwan chalta hi raha ahle aza ka
Waise kbhi Maula ne humko na bhulaya
Humne bhi wallah na Maula ko bhulaya
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Vo tera sr na jhukana
Apne wade ko nibhana
Tumko bhula na zamana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Kaise Hussain apki hum shan btaein
Kaise vo alfaz bhala dhundh ke laein
Kitna hai bechain ye dil kaise btaein
Kash ye dil khol ke hum tumko dikhaein
Tumko humne na bhulaya
Gham ye bachpan se mnaya
Aur sab ko hai sunaya
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Na bhule the na bhulenge ye gham tera Hussain
Wallah rahega ye sada yaad ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Karbobala aata hai ab sara zamana
Kaise bani kisne kiya isko moalla
Kiski hai jageer Yha kon hai rehta
Kon hai is saltanat e noor ka Maula
Vo Hussain Ibne Ali hai
Vo nawasa e Nabi hai
Karbala jisse saji hai
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Vo tera sr na jhukana
Apne wade ko nibhana
Tumko bhula na zamana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Mola Hussain aapse kya kya nhi seekha
Kya hai behen bhai ka Maa Baap ka rishta
Kaisi ho aulad Yha dost ho kaisa
Humko ye sab karbobala me nazar aya
Kahien Ghazi sa baradar
Kahien beta Ali Akbar
Kahien Zainab si vo khwahar
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Na bhule the na bhulenge ye gham tera Hussain
Wallah rahega ye sada yaad ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Pehli dafa karbobala jab mai gya tha
Chaaro taraf mere tha jannat ka nazara
Mera to har lamha ibadat me hi guzra
Jaagna din raat azadaron me rehna
Kabhi is roze pe jana
Kabhi us roze pe jana
Farsh matam ka bichana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Vo tera sr na jhukana
Apne wade ko nibhana
Tumko bhula na zamana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Aaj bhi hum aese muharram hain manate
Apne gharon me hain azakhane sajate
Saare azadar sabeelein hain lagate
Naam pe Mola ke tabarruk hain mangate
Kaale kapde hain pehente
Farsh e matam hain bichate
Aapka gham hain manate
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Na bhule the na bhulenge ye gham tera Hussain
Wallah rahega ye sada yaad ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Jab bhi alam dekha Alamdar e wafa ka
Yaad Hume aya vo mashkeeza vo darya
Laut ke jab aya na saqqa e Sakina
Lut gye saadat sitam kya nhi dekha
Kabhi bazar me jana
Kabhi darbar me jana
Kabhi zindaan nibhana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Vo tera sr na jhukana
Apne wade ko nibhana
Tumko bhula na zamana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Kl to the aashur me tanha mere Maula
Aaj hai sath apke ye sara zamana
Apko har nasl ne har Qoam ne mana
Hota hai har mulk me Labbaik Hussaina
Ab to har dil ka hai nara
Ab to har ghar hai tumhara
Sara aalam ye pukara
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, sab yad hai Maula
Vo tera sar na jhukana
Apne wade ko nibhana
Tumko bhula na zamana
Maula Maula
Sab yaad hai Maula, Sab yaad hai Maula
Haa yaad hai Maula, Sab yaad hai Maula
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain