saatweeN maahe aza ki aaj hai aey momeneeN
bAnd paani kar chukey haiN Shaah pAr aadaae deeN
pahrey bithwaae gaEy haiN naher pAr iss waastey
taa na paaeiN eik qatra bhi imam al MuttaqeeN
jaanwar tak naher se seiraab hoN afsoas hai
aur tarseiN eik qatre ko ShAhe dunya o deeN
hai yeh din makhsoos bahrey Qasime gulgooN qaba
haalate ibne Hasan bhi kuch suneiN ab haazereeN
iss qadar kAmsin tha farzande Hasan aey momeneeN
pushte markab pAr bithaane aaey thEy khud Shaahe deeN
naaseroN ko jamaa karke jab shabe aashoor aah
de chuke sabko shahaadat ki khabar Sultaane deeN
joRh kar haathoN ko Qasim ne kiya yeh arz tab
naam meira bhi shaheedoN meiN likha hai ya naheeN
ShAh ne poocha maut kaisi hai, bata aey naunehaal
shahed se zaayed hai sheereeN, tab ye bola wo haseeN
sUn ke yeh ShAh ne kaha haaN tUm bhi kal hoage shaheed
aur Ali Asghar ko bhi maareiNge yeh aadaaey deeN
naame Asghar sunte hi Qasim ne ghabra kar kaha
aey chacha khaimoN meiN bhi darr aaeiNge kya ye laeeN
hoN fida jaaneiN hamaari kis qadar ghairat thi,aah
dheyaan se be_pardagi ke ho gaEy Qasim hazeeN
ab maiN kahta hooN ke aao Shaam ke baazaar meiN
aur zara deikho tO haaley itrate Sultaane deeN
jin ke parde ka tumheiN itna tha aey maula khayaal
aam majme mein khule sAr haiN woh baa haal’e hazeeN
ab jigar phatTa hai nauha khatm kar aey Fikr* jald
aur dua kar yeh ke dAmm nikle tO rauze ke qareeN