roaz’e Aashoora pas’e qatle imam alMuttaqeeN
maal o zAr loota jalaaey khaimahaaey Shaah’e DeeN
ek qanaat’e soakhta ki aaR meiN sAb beebiyaaN
khaak par baiThi theeN bachchoN ko liye, ba_dil hazeeN
iss taraf bachche paRe thEy gjAsh mein bhook aur pyaas se
sEr o seiraab uss taraf honEy lagi fauj’e laeen
jaanwar tak fauj ke jab pa chuke aab o ta’am
tAb ghiza bheiji paey atfaal’e shaahenshaahe DeeN
zaujaey Hurr leike mashke aab aur kuch rotiyaaN
fauje aada se gai jiswaqt bachchoN ke qareeN
beebiyaaN samjheeN ke aate haiN laeeN phir lootne
Hazrat’e Zainab ba_sad andoah farmaane lageeN
roate roate bhooke pyaase bachche soaey hain abhi
loot leina subho aakar, qaid haiN hUm sAb yaheeN
maiN hooN bibi zaujaey Hurr, laai hooN aab o ta’am
baa adab usne kaha yooN, aake Zainab ke qareeN
haiN gurisnah aur pyaase teen din se nau nihaal
deejiye paani unhein ya khwaahare Sultaane DeeN
rAkh diya yeh kahke farshe khaak par aab o ta’am
aur khd bhi sAr jhuka kar baithi baalaaey zameeN
deikhte hi rotiyoN ke tuke aur paani ki mashk
ho gaya aaho buka ka shoar aey Fikr*e hazeeN