Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Labe Ahl -e-bait par thi pukar
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Pas Qatl lutne lage haram
Badha Dard-o-Ranjo ka woh alam
Khule sar they aale Shahe-Umam
Yehan Ahl -e-Haq ke labon pe tha
Wahan fauj -e-kufr mein shor tha
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Jo-hi Halqe Shah par churi chali
To zameen saari laraz uthi
Jo Gareeb zabt na kar saki
To tadap ke khaak par gir padi
Suni jab Sakeena ne yeh sada
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Sar-e-Shah jo tan se juda hua
Dil-e-kayanat tadap utha
To hila ke shana imaam ka
Yahi ro ke bibiyo ne kaha
Zara dekho kaise hai yeh sada
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Woh tha ashkbar woh ghamzada
Jise khud sambhalna mohaal tha
Dar-e-khaime tak woh pahouch gaya
Soo-e-qatlegah jo ki nigah
To ammama dekh ke yeh kaha
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Yeh sada thi qalb-e-Rabaab ki
Lo ujad gayi meri maang bhi
Yahi gham hai zinda main kyo rahi
Mujhe maut hi kyo na aa gayi
Jo main na aaj sunte yeh sada
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Ya Nabi Mohammad-e-Mustafa
Zara aaiye sooey Karbala
Kise qatl aada ne hai kiya
Ke jo eik hashr sa hai bapa
Yahi kah rahe hain malayka
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Chala Karbala se jo qafila
Khule sar they Aale Shahe huda
Tha Imaam qaidee bana hua
Thiin aseer bibiyan be-khata
Thiin Labon pe sabke yeh buka
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Jahan Ahil -e-Baith zara ruke
To qareeb log bhi aa gaye
Jo kise ne pucha Imaam se
Ke yeh sar hain kiske kate huey
To jukha ke sar ko yeh keh diya
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada
Likhe kaise Haasil* e Nauhaghar
Chali Tegh Halq-e-Hussain Par
Na tapa ho kaise dil -o-jigar
Huye qatal jab Shah-e-Bhair-o-Bar
Jahi Shor Jinn o Malak mein tha
Qatal-al Husain-o-be Karbala
Zobeh-al Husain-o-be Karbala
Jo hai de munadi ne yeh sada