Fatema sughra yeh kehti thiN idhar aa qasid
Paas baba ke yeh nama mera le ja qasid
Reham kha kar meri beemari-o-tanhai par
Wasta tujhko payambar ka khudara qasid
Karbala jate hi tu khidmate Sheh mai jana
Kehna tasleem mera haal sunana qasid
Baba bardhta hai maraz jitni dawa karti huN
Khana pani bhi hua tark yeh kehna qasid
Chacha Abbas se kehna meri janib se salam
Aap bhi bhul gaye karna yeh shikwa qasid
Bandagi kehna tu shehzada-e-akbar se meri
Dast basta mera dukh dard sunana qasid
Noujawani hai mere bhai ki nazuk hai mizaj
Harf shikwe ka zabaN par bhi na lana qasid
Aap farma gaye thay aaouNga lene ko tumhe
Yaad dilwana woh bhula hua wada qasid
Bhai qasim ko meri simt se kehna tasleem
Neg lena jo bana dekhna dulha qasid
Kehna kya bhul gaye saniye akbar mujh ko
Sehra ho tumko mubarak yahi kehna qasid
Bhai jo aun-o-muhammad haiN phuphizaad mere
Unse kehna ke dua deti hai Sughra qasid
Kheriyat puchna phir Nanhe Musafir ki mere
Pyaar krna use godi mai khilana qasid
Apni Hamsheer ki ulfat ko bhulaya Bhaiyya
Kehna godi ki tarha khali hai jhula qasid
Kehna Maa-Behno ko Phuphiyo ko meri ja ke salam
Ek muddat hui sab chhut gaya kunba qasid
Algharaz reham use aa gaya sun kar rudaad
Karbala le ke Chala namaye sughra qasid
Lut chuka tha chamane Fatema Aashur ke din
Karbala haye ajab waqt mai pohNcha qasid
Asr ka waqt tha aur lakhoN mein tanha thay Hussain
Jhuk ke tasleem ki aur saamne aaya qasid
Sheh ne farmaya ke kya naam hai qyun aaya hai
Nama Sughra ka yeh laya hun yeh bola qasid
Kehna Sughra se ke sab mar gaye tanha hain Hussain
Tashnalab qatl huye paas tha dariya qasid
Main bhi kuch der ka mehmaN hun kya likhuN jawab
Haal ab ja ke zabaani mera kehna qasid
Laye phir qasid e Sughra ko labe nehar Hussain
Bole yeh hai mere Abbas ka lasha qasid
Phir kaha Bhai ke lashe se mukhatib ho kar
Kuch kaho puchta hai haal tumhara qasid
Laye phir usko JawaN Laal ki maiyyat par Hussain
Bole tukrde hai mera gham se kaleja qasid
Phir kaha maiyyate Akbar se ke sun lo Beta
HaaN zara ghour se pardh nama e Sughra qasid
Algharaz le gaye eik eik ki maiyyaat par Hussain
Sab ki laashoN se hi rota hua uttha qasid
Nama Sughra ka haram ko jo sunaya sheh ne
Hashr kheme mai hua dar pe tha rota qasid
Khaak sar par thi aur chaak garebaN Zamin*
Sheh ne rukhsat kia rota hua palta qasid
Fatema sughra yeh kehti thiN idhar aa qasid
Paas baba ke yeh nama mera le ja qasid