Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Zulm aada ne kiya hum pa yeh kaisa Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Chod kar humko Madine jo chale jayo ge
Ghut ke rah jaye gi har eik tamanna Bhai,
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Maut aa jaye agar shaam ke zindaaN meiN hume
Dafn karna inhi kapdon mein janaaza Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Ab jagana nahin hum jaate haiN soone ke liye
Maut ne aa ke bhichaya hai bichona Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Main yahan maut ki aagosh meiN soo jaooNgi
Sab Madine meiN mera dekheN ge rasta Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Jab sa choda hai Madine ka bhara ghar hum ne
Khaak meiN mil gai har eik tamanna Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Kairyat meri Madine ke jo bachche poocheN
Mujh pa kya guzri unhe kuch na batana Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Jab Madine se palat kar kabhi shaam aana ho
Saath Baaji ko meri qabr pa laana Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Tum ko pani ke liye bhej ke sharminda thi
Karbala jaa ke Chacha-Jaan se kahna Bhai
Qaidkhane mein yeh kahtiN thiN Sakina Bhai
Kah ke Ishrat* yeh Sakina ne kiya sab ko salaam
Hum ko lene ke liye aa gaye Baba Bhai