Qaid Se Aale Muhammad Ne Rehai Paayi

Uncategorized

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi
Yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai – 2

sar jhukaaye hue darbaar mai beemar gaya
hogaya shaam ke darbaar mai kohraam bapa
kaha zaalim ne ke hamne tumhe aazaad kiya
aake sajjad ne zainab ko ye paigham ne diya – 2
sunke zainab ko sakina ki bohot yaad aayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

qasr khali hua aur loot ka saamaa aaya
maatami saf bichi aur hogaya kohraam bapa
bibiyan peeth ke sar karne lagi aaho buka
saamne hazrat e shabbir ka sar laake rakha – 2
roke zainab ne kaha aagaya mera bhai – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

sar shaheedon ke jab aaye toh ajab haal hua
apne waaris ka sar aagosh mai har ek ne liya
do sar aise bhi the jinka na tha lene wala
arey puch kya uth gaya inn bachon ki maa ka saaya – 2
boli zainab ki mai hu inn bachchon maa dukh paayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

jo chaadare loot ki rakhi gayi ek ja lakar
aah kar kar har ke bibi ne daali sar par
sirf rakhi rahi uss farsh pa choti chadar
bain karne lagi ro ro ke ki ye sheh ki khuahar
mere weeran hai sakina ki ye chaadar aayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

karbala jane ka zainab ko bohot tha armaan
ek ishare mai hua raahe safar ka saaman
qaafila ruk gaya jab saamne aaya zindan
karke ye bain bohot royi sakina ki maa – 2
uth mere laal watan jaati h ma dukh payi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

jab qareeb aane lagi karbobala ki manzil
itna bechain hua zainab e dilgeer ka dil
khaakh par baith gayin chodh ke apni mehmil
roke kehne lagi bas aa gayi meri manzil – 2
saaf khushbu mere pyaaro ki mujhe hai aayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

muntazir hai meri aamad ki watan mai sughra
woh samjhti h ke pardes gaye hain baba
meri sughra ko kaleje se lagakar kehna
akhri waqt bhi akbar ne tujhe yaad kiya – 2
mar na jaye mere gham mai kahin meri jaayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

jab madeene se hua tha meri aamad ka safar
god aabaad kiye tha mera nanha sa pisar
mere hamraah sakina bhi thi meri dukhtar
kok ujdi na sakina h na ab h asgar – 2
haye kis muh se watan jaaye ye maa dukh payi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi

kehke ye hazrat e zainab se bohot royi rabab
mai nahi dekh saki ek bhi bachche ka shabaab
log puchenge madine mai toh kya dungi jawaab
ab qalam rok le shaheen ke dil hai betaab – 2
sun ke ye bain bohot royi ali ki jaayi – 2
yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Qaid se aale muhammad ne rehai paayi
Yaad hamsheer ko aaya bohot apna bhai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *