Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi

Noha

Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi
SaaNs lena bhi hai dhubhar yeh jagah hai kaisi, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Apne seene pe sula lete the mujhko Baba, Toh qaraar aata tha
Jabse chuti huN main Baba se nahi nind aati, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Jeena mushkil hai hawa aur na ujala hai yahaN, Layi taqdeer kahaN
Yaad tadpati hai hr waqt mujhr baba ki dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Chowk padti huN meri aankh jhapakti hai agar, Kaanp jata hai jigaar
Goonjne lagti hai kaano mein sada durroN ki, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Kis liye Ammu se pani ka gila maine kiyaaa, Dil pe sadma hai bada
Ab toh Ammu se na mil paungi shayd mai kabhi, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Pyasa Asghar mera tadpa kiyaa pani na mila, Kaisa andher hua
Ab na rahat mujhe mar kar bhi mayassar hogi, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Ab mere Bhai milenge na milenge Baba, Ab na ayenge chacha
Hasrate leke mai duniya se chali jaungi, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Saas ukhdi hui meri mujhe deti hai pata, Waqt e aakhir hai mera
Ab nahi koi bhi umeed mujhe jeene ki, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Maut ne de di Sakeena ko Munawwar* taskeen, Ab fugaN lap par nahin
Kar gayi ruh jo parwaas toh kaise kahti, dum ulajhta hai Phupi
Qaid khane mein yeh kahti Sakeena Bibi, dum ulajhta hai Phupi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *