Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Madad ke waste pahunche wahan-wahan Abbas,
Hussain walon pe itne hain meharban Abbas,
Jahan Hussain kaha aa gaye wahan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Hai farq itna faqat karbala-o-khaibar me,
Vo marka tha Ali ka lade jahan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Zahe naseeb teri manzilat ka kya kahna,
Rasool zaadiyan ain teri nauhakhan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Sakina bibi se bachche ye ro ke kahte the,
Alam nazar nahi aata gaye kahan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Ali ke laal ka kya kahna hain bahut mazloom,
salaam shiyo ka tum pe gaye kahan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Alam ke saaye me kahte chalo Hussain Hussain
Khuda ke fazal se hain meer-e-kaarwan Abbas,
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Koi Mita nahi sakta hai hame zamane mein
Husainyo pe hamasha hain pasbaan abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Hai jis pa bhi tere parcham ka saya duniya mein
Har ek bala se hai mahfooz woh maqaan Abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Yaha jo haat uthaye hain maatam-e-shah mein
Use Husain se milwayen wahan Abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Hussain mil gaye mujhko yehi main samjhoon ga
Huwe jo mujh par tum ek baar meherbaan Abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Wahan wahan me hai zamane mein dars rahe wafa
Jahan Jahan tere qadmon ke hai nishaan Abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas,
Khuda ke deen ki soorat Kalaam-e-haq ki kasam
Nabi ke ghar me huwe tifl se jahan abbas
Pukara dil se kisi ne jahan-jahan Abbas