Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Noha

Kitne veerane baharoon ne basa daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Dekho Abbas ki nazron ko labe nahar e Furath
Eh bijlee se kaye toor jala daalen hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Malik o Meesam o Ammar, Abuzar, Belhol
Ishq e Haider ne bhi deewane bana daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Ulfat e Aal e Mohammad ko duwaaen deejay
Barah raaste Dar e Jannat ke bana daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Maatam e Shah mein uthti hui aawazon ne
Naksh bayat ke jahan paye mita daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Sar ba Sajda nazar aatey hain khudaayan e Haram
Sar khudaoon ke bhi Haidar ne jhuka daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Tegh e Haidar se bhi kuch tez hai Shamsheer e Hussain
Isne to kufr ke bhi aasar mita daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Khaich kar khuld Dar e Aal e Nabi par Mahir*
Door ke raaste nazdeek bana daale hain
Phool Sahraon MeiN Abid ne Khila Daale Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *