paamaal karkey laashaey at’har Hussain ka
nayze pa ashqiya ne rakha sAr Hussain ka
latkaaya gAh darakht meiN, gAh baab’e Shaam meiN
rakkha gaya tanuur mein, gAh sAr Hussain ka
jab Hurmula ne teer lagaaya hai hAlq par
muNh tAk raha tha yaas se, Asghar Hussain ka
be_chAin tha jo raat se, paani ke waaste
ghaltaaN hai ab lahu mein woh gauhar Hussain ka
Zainab pukaariN, deikhta hai ibne Saad tu
aur kaatTa hai Shimr’e laeeN sAr Hussain ka
be_aab hota khanjare qaatil na kis tarah
sookha gala tha, be_kaso muztar Hussain ka
teigheiN usi ki shArm se abtak haiN aab aab
sookha gala jo tha, tAhey khanjar, Hussain ka
hAr ek ne laash apne azeezoN ki maang li
paamaal ho gaya tan’e be_sAr Hussain ka
Ya Rab baraaey Panjetan’e Paak, Fikr* ko
dikhla de jald rauzaey anwar Hussain ka