Sulbon ko deikh leiti thi maidaan e jung meiN

Noha

Sulbon ko deikh leiti thi maidaan e jung meiN
Yeh mojeza bhi dhaal diya Zulfeqaar mein

Apna jamal deikh ke Haider ko de diya
Jo kuch bhi tha khazanaey Parwardigar mein

Mohammed ki jabeen se noor paiker bante jaate haiN
Paseena aata jaata hai, Payamber bante jaate haiN

Idhar hum likhte jaate haiN, fazaael Aaal e Ahmed ke
Udhar har sheir par Firdaus mein, ghar bante jaate haiN

Nubuuwat meiN mere Ma’bood thoda sa izafa kar
Jawan hokar Ali Akbar, Payamber bante jaate haiN

Jihaad e roaz e Khayber loriyoN meiN maaN se sun sun kar
Ali Asghar bhi gahwarey mein, Haider* bante jaate haiN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *