Misaale Mauj Ajal Par, Ubhar Ubhar Ke Chale

Noha

Misaale Mauj Ajal Par, Ubhar Ubhar Ke Chale
Hussain wale chale, aur ban sawar ke chale

Zohair aaye, Habib aaye, nusrat e Shah ko
Qamar ke gird sitare, nikhar nikhar ke chale

Ali ka Sher, suey naher yun chala jaise
Shikaar dekh ke Zaigham thahar thahar ke chale

Nigaah kehti hai Abbas ki sar e saahil
Kahan hai fauj e adu, Hum toh mashk bhar ke chale

Kamar Habib ne bandhi jo nusrat e Shah mein
JawaaniyoN ke irade sawar sawar ke chale

Nahan ke nikla hai Laila ke aasooN me shabaab
Na kyun jawaani e Akbar nikhar nikhar ke chale

SafoN ko tod ke jaate hain is tarah Abbas
Safeena maujon par jaise ubhar ubhar ke chale

Tawaaf e Rauza e Shabbir ki tammana mein
Farishtey Bam e Falak se utar utar ke chale

Qalam uthate hi Madh e Hussain mein Mahir*
Tassawurraat mein mazmoon sawar sawar ke chale

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *