Bayn karti theeN Zainab yeh roakar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
fateha kis tarah de yeh khwaahar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
ab na Akbar haiN na Aun o Jaafer,
lUtt gaya Karbala meiN bhara ghr
kaun le ab khabar haaey aakar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
fateha dooN maiN kis kis ka bhai,
lUtt gai haaey meri kamaai
so rahe haiN zameeN pAr bahattar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
hai Sakeena ki woh ghair haalat,
deikhi jaati nahiN uski soorat
roati hai raat din woh baraabar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
ab na Abbas haiN aur na Qaasim,
hai madad meiri iss waqt laazim
tUmko roane na paai yeh khwahar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
haaey Asghar ko bhi teer maara,
auur Akbar bhi jannat sidhaara
zakhm dil pAr lage haiN bahattar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
zaalimoN ne sitam kaisa dhaaya,
dasht’e ghurbat mein mujhko sataaya
koi waaris raha ab na sAr pAr,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar
dil larazte thEy seene meiN Raushan*,
rUnj se kaaNp jaata tha hAr tAn
jab yeh kahti thi Sarwar ki khwahar,
meire bhaai ka daswaaN ho kyoNkar