Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Aashoor Ke Din Jis Bibi Ka
Aabad Chaman Barbad Hua
Sub Bhai Bhatije Maare gaye
Samaan Jala Ghar-baar Luta
Kuchh Bhi Na Bacha Lekin Zainab
Ye Deen Bachane Aayi hay
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Har Khutba Iska Majlis Hay
Har Aansu Iska Maatam Hay
Aashoor Basa Hai Aañkhoñ Me
Aur Dil Me Bahattar Ka Gham Hay
Ye Ahle Aza Se Farsh e Aza
Ghar Ghar Bhijwane Aayi Hay
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Ham Par Patthar Barsate Ho
Haste Hi Jashn Manate Ho
Sayyad Ka Khoon Bahate Ho
Aur Baghi-Baghi Kahte Ho
Shabbir To Pak Namazi Hay
Ye Tum Ko Batane Aayi Hay
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Kaunain Ki Malka Ki Beti
Wo Sharm o Haya Ki Shahzadi
Haye! Shaam e Ghareebañ Me Jiski
Chadar Chheeni Thi Wo Bibi
Duniya Ki Maañ o Bahno Ko
Parda Sikhlane Aayi Hai
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Jisne Bhai Ki Gardan Par
Chalte Huye Khanjar Dekha Tha
Na Chhupne Doongi Khoon Tera
Shabbir Se Kiska Wada Tha
Wo Zainab Shaam Me Bhai Ka
Maatam Karwane Aayi Hay
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay
Sarwar Jab Baad Riha Hokar
Jab Aayi Karbobala Muztar
Haye! Peet Ke Sar Maatam Kar Kar
Chillayi Bhai Ki Turbat Par
Uth Bhai Hussain Tera Chehallum
Teri Bahan Manane Aayi Hay
Mazloom Hussain Ki Hamsheera
Islam Bachane Aayi Hay
Shabbir Ka Sari Duniya Ko
Paigham Sunane Aayi Hay