Mayaat Hasan Hussain Padar ki UthayeN hain
Ahle Madina khhak saroN par udaten hain
IkkeswiN ko ho gaye Maula Ali shaheed
Hum sab ishi liye Ghan e Haider manateN hain
KahtiN haiN eik eik se Kulsoom, kya karoon
Amma ki tarah chhod ke Baba bhi jaate hain
Gham ki siyah aandhiyan utthi haiN chaar soo
Aasar kayanaat ke phir dagmagate hain
Afsoos qatl kar diya Haider ko sajde mein
Zalim Khuda ke ghar ko bhi maqtal banate hain
Dekho ajeeb haal hai Ummal Baneen ka
Kaboo mein dil nahin hai, kadam dagmagate hain
Abbas bole MaaN se ke Baba se poochiyea
Yeh to batayeN kis par hame chhod jaate hain
Sadma hai Gibraeel ko poocheN na is qadar
Aaqa pe apne khoon ke aasoon bahateN hain
Lillah koi pooch le Zainab ke dil ka haal
Rah rah ke zakhm seene par nashtar chalate hain
Jaate hue janaze ko dekha toh ro padiN
Murghabiyon mein bain hai Razzaq jaateN hain
Daamad e Mustafa ka hai kya mominooN kusoor
Kyun ashkiya janaze par patthar chalate hain
Qismat hai jinki achchi wohi jaateN hain Najaf
Jo door hain who ashkoN ki chadar chadete hain
AasooN baha ke Shah par taskeen milti hai
Duniya ke gham Raza* mujhe jab bhi satateN hain