Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Haye woh bhi teen din ka bhooka pyaasa le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Aag khaimon mein lagi, Asghar ka jhoola jal gaya
Ek nishani rah gayi thi, woh bhi duniya le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Baap ki aakhon ke aage mar gaya kadyal jawan
Seene-e-Akbar se jab barchi kaleja le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Shab ki bhiaye apni aakhon mein basa kar rakh chukey
Phool mein lipta hua Dhula ka sehra le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Apne bachchon par na roye, Bhai ke gham ke siwa
Ashq aaye bhi to Zainab, dil ko samjha le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Khaak par tadpey hain kya-kya gul-badan, ghuncha-dahan
Subhe Aashoor baharen, baagh-e-Zaherra le gayin
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Qaid mein bachchi ne dam toda hai is sasadmey ke baad
Tashnagi meri, mere Ammu ko dariya le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Bhai ka gham das dinon tak neend aur bepardagi
Le ke kya aaye thin Zainab aur kya le ke gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Qaid se chhut kar, Madine ja kar Bano kya karey
Zindagi ki aakhri hasrat Sakeena le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi
Khaak par har umar ka laasha pada hai ai Suroor*
Dopaher mein maut ghar ka ghar yeh kiska le gayi
Maut aai aur Ali Asghar ko behla le gayi