Maqtal ki taraf jate haiN kahte hue Sarwar

Noha

Maqtal ki taraf jate haiN kahte hue Sarwar
Akbar mere Akbar
Phir mud ke mujhe shakl dikha do mere Dilbar
Akbar mere Akbar

Kis samth ho kuch mujhko sujayi nahi deta
Aakhir mai karuN kya
Sine pe sinaa kha kar tadapte ho kaha par
Akbar mere Akbar

Din sara mera laashe uthane me kata hai
Afsoos ki jaaN hai…
Koi bhi sahara mujhe deta nahi aa kar
Akbar mere Akbar

Pyasa hu kayi din se zaeefi ka hai alam
Kis kis ke sahooN ghamm.
Bete bhi chute qatl hue Jaane Baradar
Akbar mere Akbar

Mar jane se Abbas ke dil toot gaya hai
Gham aisa mila hai
Bechain hai dil seene mein, jeena hua dobhar
Akbar mere Akbar

AttharaN baras jisne tumhe pala hai Beta
Ab usse kahu kyaa
Itna toh bata do, ke kurban maiN tumpr
Akbar mere Akbar

Ghurbat me agar saath mera tumne bhi choda
Kis tarahaN jiyungaa ..
Dhaen ge sitamgar sitam aur bhi mujhpar
Akbar mere Akbar

Zainab ne Munawwar* jo sada bhai ki sun li
Gash ho gaya taari
Sab bibiya khemo me tadapti thi yeh kah kar
Akbar mere Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *