Mah e Muharram (Chand) – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Sughra Ko Muharram Ka Jab Chand Nazar Aaya
Yad E Shah E Waala Ny Dil Aur Bhi Tarhpaya

——————————————

Chand Ko Dekh Ky Sughra Ny Kaha Haye Hussain
Aa Gaya Mah E Muharram Kya Nahi Aaye Hussain

——————————————

Yad Pardais Mein Aati Hai Lahad Amman Ki
Dil Ka Ehwaal Sunanay Ko Kahan Jaye Hussain

——————————————

Aap Aaye Na Khabar Aai Na Akbar Aaye
Kaisy Is Haal Mein Sughra Sy Jiya Jaye Hussain

——————————————

Jab Sy Yeh Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai
Amman Roti Hai Tujhy Ay Mery Maan Jaye Hussain

——————————————

Koi Tasveer To Zahra Ki Rahi Parday Mein
Yeh To Acha Hua Sughra Ko Nahi Laye Hussain

——————————————

Naam Par Shah Ny Akbar Ky Khareedi Hai Zameen
Kaisy Jageer Tujhy Bhai Ki Dikhlaye Hussain

——————————————

Eid Bhi Soag Ky Alam Mein Guzari Us Nay
Haye Akbar Kabhi Kehti Thi Kabhi Haye Hussain

——————————————

Mustaqil Shah Ki Ankhon Sy Thy Aansoo Jari
Khat E Sughra Ko Mukammal Nahi Parh Paye Hussain

——————————————

Aik Ek Beti Sy Rukhsat Huye Khaimy Mein Magar
Haye Afsos Keh Sughra Sy Na Mil Paye Hussain

——————————————

Likh Ky Noha Yeh Takallum Ny Dua Mangi Hai
Har Azadar Ko Aashoor Py Bulwaye Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *