Maa Kehti Thi Ki Maamta Jis Dam Sataye gi
Akbar Tumhari Yaad Bhi Barchi Lagaye gi
Naazon se tumko paala tha, yeh jaante na thin
Pardes mein hum honge tumhe maut aayegi
Maa poochti hain deer se, Akbar jawaab do
Tum mar gaye ho ab kise dhoola banaye gi
Akbar utho akeley hain nargey mein Shah e
Deen Fauj e adu Hussain ka ab khoon bahaye gi
Tum chalte waqt itna bhi maa se na kah gaye
Zinda na ghar mein aayen ge ab laash aaye gi
Beta tha mere pardey ka tumko bohut khayaal
Ab fauj e Shaam sar khule dar dar phirayegi
Maan kis tarah se joode gi, batlao mere laal
Tukde jo dil ke dhoond ke maqtal se laayegi
Maa Kehti Thi Ki Maamta Jis Dam Sataye gi