Ma KahtiN thi ro ro kar, so jaao mere beta

Noha

Ma KahtiN thi ro ro kar, so jaao mere Beta
Masoom mere Asghar, so jaao mere Beta
Hai Karbobala mahshar, so jaao mere Beta

NazroN se layeeno ki main tumko bacha leti
Mamta bhare aachal kay saaye mein chhupa leti
Majboor hai yeh Madar, so jaao mere Beta

Aise mein sabhi apne maujood sahare hain
HaiN paas Ali Akbar, Ammu bhi tumhare hain
Hai waqt yehi behtar, so jaao mere Beta

Bechain tera chhera kis kis se chhupaoon gi
Gar pooch liya Shah ne, kya unko bataoon gi
Soocho toh zara Dilbar, so jaao mere Beta

Jago ge agar aise ghabra ke main ro doongi
Sookhe tere hooton ko ashkon se bhigon doongi
Ai Jaan e dil e Madar, so jaao mere Beta

Yeh soochtin hoon Beta tum par na sitam dhayen
Soye hue Bachche par shayad yeh tara s khayen
Zaalim hai bohut lashkar, so jaao mere Beta

Aakhen hain tere neeli, soorat hai tere pyaari
Uljhe hue gaisoo par Maa sadqey ho Maa waari
Sashmaah mere Asghar, so jaao mere Beta

Aashoor ko kal rann mein eik hashr bapa ho ga
Har simt se goonje ga eik shor qayamat ka
Neend aaye gi phir kyunkar, so jaao mere Beta

Mahsoos karo Beta eik Maa ki pareshani
Kya do main Tumhe, Ghar mein eik boond nahin paani
Bas ashkon ke hain saagar, so jaao mere Beta

Bachche bhi kabhi Maa se hoten hain khafa aise
Kya roothta hai koi apnon se bhala aise
Dukhiya pe taras kha kar, so jaao mere Beta

Kya baat hai kyun chhup ho kuch mooh se kaho beta
Bechain tumhe itna pahle to nahin dekha
Jo dil mein hai woh kah kar, so jaao mere Beta

Kin uljhanon mein ho tum eik shab ke mere mehman
Ho jaye gi kal runn mein mushkil teri har aasaan
Jaoo ge lab e Kausar, so jaao mere Beta

Jangal hai biyabaan hai Har simt andhera hai
Jaane hai bohut aage aur door ujala hai
Samjhaoon tumhe kyunkar, so jaao mere Beta

Yeh arz o sama kya hai rooten hain falak saare
Ghamgeen hain sabhi hooren rotey hain malak saare
Yeh bain Raza* sun kar, so jaao mere Beta
Ma KahtiN thi ro ro kar, so jaao mere Beta

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *