Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan
Duniya Hasan Hussain ki andher ho gayi
Iss kamsini mein bachchoN pa toota hai aasmaan
Afsoos Maa ke baad meiN Baba guzar gaye
Asoo Lahoo ke Zainab e Muztar ke haiN rawaN
Sahde meiN sar hai khoon se musalla lahoo lahoo
Mari hai Rozadaar ke who zarbat e garaN
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan
Hoor o Malak hain, Abmbiya aur hai gham e Ali
Farsh e Aza e Murtuza lagta hai aasmaaN
EkkiswiN ko chhup gaya duniya ka aaftaab
Chaye hui hai chaar su zulmat ki badliyaN
Jisko Nabi ne apne Wasi ka diya khitaab
Dushman usi ka ho gaya Koofe ka musalmaaN
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan
AakhoN meiN ashk bhar ke yeh Abbas ne kaha
Humko akela chhod ke Baba gaye kahan
Sadme se ghash hai, Zainab e kulsoom pa tari
Rukti nahiN yeh dekh ke Fizza ki siskiyan
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan
Duniya se unka utth gaya afsoos eik raqeeb
HaiN Meesam o Miqdaar ke chehre Dhuan Dhuan
Patjhad ki zadd mein aa gaya sar sabz gulistan
Chhaye hai aise gulshan e Islaam par khizaN
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan
Gham ki siya aandhiyaN utthiN haiN chaar soo
Bawaqt e farz di hai muazzin ne jo azaan
Jaate hue janaze ko ghabra ke dekh kar
Apne saroN pa khaak udati haiN beteyaN
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Ja han
KahteN hain ashk bah ke Raza* yeh Imaam se
Pursa qubool keejiyea ya Sahib uz ZamaN
Laashe pa Murtuza ke thi Gibraeel ki fugaN
Haye haye shaheed ho gaye Maula e Do Jahan