KyuNkar main bataoon woh manzar

Noha

Woh chaand ka chhera Zard Hua, Har simt udasi chahne lagi
Woh gham ki ghata ghanghor uthi, aakhoN se lahoo barsane lagi
Kis bekas ki yaad aaye jo, rah rah ke mujhe tadpane lagi
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Yeh kaisi udasi khaimoN meiN, Ashoor ki shab ko chahne lagi
Purhaul tassawur ki aaNdhi, Armaan ka jigar barmaane lagi
Uljhan jo badhi, Laila uth kar, Gesoo e Pisar suljhane lagi
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

KahtiN thiN Sakeena ro ro kar, Khaime mein kab aaye ga paani
Ammu bhi nahin Bhai bhi nahin, hai kaun jo laye ga paani
Baba bhi sidare marne ko, phir kaun pilaye ga p aani
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Eik Sher e Jawan daryan ke qareeb, shaanoN ko kataye soota hai
Maidan mein koi Farzand haseeN, phal naize ka khaye soota hai
Aagosh e lahed mein eik baccha, gardan ko chhidaye soota hai
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Sab chaar paher mein qatl hue, RaandoN ka sahara koi nahin
Woh aag lagi hai khaimon mein, jab poochne wala koi nahin
Zainab ne bulaya jis jis ko, dil ro ke pukara, koi nahin
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Allah yeh yeh kaisa waqt aaya, Abbas nahin Sarwar bhi nahin
Asghar bhi nahin Akbar bhi nahin, Qasim bhi nahin jafar bhi nahin
Zainab haiN khule sar balwe meiN, Afsoos koi chardar bhi nahin
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Woh doobte taare gardoN par, woh Shaam e Gareebani toofani
Woh sahme hue se sab Bachche, Zainab ki parashaN saamani
Woh khauf o dahshat, woh uljhan, aur pyaas ki usme tughyaani
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa-waila

ArmanoN ki dhundli tasweereeN seene se lagaye baithe hai
Akbar ke sarhane Maa dukhiya, eik shamma jalaye baithe hai
Aagosh e tassawur mein jaise, Maa doohla banaye baithe hai
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa-waila

Eik Maa hai sukoot o hasrat mein, kuch ashk bahaye baithe hai
Eik Maa hai jo apne laal o Gohar, mitte mein milaye baithe hai
Eik maa hai jo khaali jhoole ko, seene se lagaye baithe hai
KyuNkar main bataoon woh manzar, Aye Shah e ShaheedaN wa -waila

Selaab rawana hota hai, aur naher machal kar bahti hai
Shabbir ki choti si Bachchi, be-aab tadapti rahti hai
Is pyaas ki shiddat mein Nasir*, kya kya na sitam woh saithi hai
KyuNkar main bataoon woh manzar, Kis tarahan kahoon kya yaad aani

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *