Kya Sitaam Sheh Par Huwe Nana ke Marjane ke baad

Noha

Kya Sitaam Sheh par huwe Nana ke mar jane ke baad
Kar diya paamal laasha khooN meiN nehlane ke baad
Kya Sitaam…

Tha jo anjaame safar Shabbir ko peshe nigah
Shah bhi rone lage Sughra ko samjhane ke baad

Khaakh par dum todte Akbar ko paaya khooN meiN tar
Laash par pahuche jo Hazrat, thokreN khaane ke baad

Baade Asghar naasiraan e Shah mai koi na tha
Aa gayi bilkul khizaN us Gul ke murjhaane ke baad

Munh jo haathon se chipa bhi leiN to sar kyukar chipayeN
Kya kareN Zainab bhala chadar ke chhin jaane ke baad

Kehti thiN Zainab, bandhe baazu barhaina sar phiri
ZillateN kya kya huiN Bhai ke mar jaane ke baad

Sar se paoN tak ho gaye bilkul Shabih e Mustafa
Bal jo zulfoN mai diya Akbar ne suljhane ke baad

Maa Phupi ke saamne Kubra ko maa ne di jo sharm
Rone bhi paayi na wo Qasim ki laash aane ke baad
Kya Sitaam Sheh par huwe Nana ke mar jane ke baad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *