Haye mera mazloom Imaam,
Haye mara gaya hai tashankaam
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Laash e Akbar dar e Khaibar se bohut bhaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Raaste kahtey hain guzre hain idhar se Abbas
Door tak phale hui bu e wafadari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Ek naizey se ulat di hain hazaroon ki safey
Mojiza hai ke yeh Abbas ki fankari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Kah Shabbir ne, yeh fauj hai kya kuch bhi nahin
Mere Abbas ki adna si nazar bhari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Ghaiz mein chhere se Abbas hataye hain naqaab
Naher par chaand hai, Kausar par ziabaarii hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Sirf kafir nahin nasloon ko hai paigaam e ajal
Yeh hai Shamsheer e Ali, kaat mein do dhari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Sirf Khaibar mein Payamber ne padhi thi ek baar
Aaj tak silsila e Naad e Ali jaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Jauhar e ashq wo jisme nahin tasweer e Hussain
Jauhari dekh ke kahne lagey, bazaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Ab to de deejiyea ai mere Chacha izm e Jihaad
Zindigaani nahin, Qasim ko ajal pyaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Ro rahin hai Ali Akbar ke saraane Laila
Sahb e Ashoor nahin, hai shab e bezaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai
Mahir* ashqon se banata hai iram ki tasweer
Tere deewaney pe bahelol ki hushiyaari hai
Kul jahan himmat e Shabbir ka iqrari hai