Kiya Abbas ne hamla, sarey sahil wafa chamki
Kaha lashkar ne bhago, barqe noore Murtaza chamki
Adu bhi deikhkar Abbas ko, aapas meiN kahte thEy
Jala daleigi sahil ko, jo yeh bi jli zara chamki
Sadaey La’Fata se, Aayaey Tatheer tak suniye
Ali ki Teigh runn meiN, ghar meiN Zahra ki rida chamki
Gira Azraq bhi Marhab ki tarha, ghode se do hokar
Hasan ke laal ki talwar jab, naame Khuda chamki
Bana deewar meiN dar, Butt girey taaqoN se Kabey ke
Haram meiN barq e Noor e Haidery, be’inteha chamki
Ada jo zeire khanjar ho gaya, uss eik Sajde se
Falak sharma gaya, aisi zameen e Karbala chamki
Jagah deine lage ahle nazar, dil meiN SalamoN ko
Tere ashaar meiN Mahir*, jo Salik ki ada chamki