khooN se tAr kAb eik tanha ShAh ki peishaani hui
Panjetan ki aaj goya rUnn meiN qurbaani hui
do_paher mein, sAb azeezo aqruba maarey gaEy
yuN Hussain Ibne Ali ki, khaana weeraani hui
jAb gaya duniya se sooey khuld mehmaan’e Hussain
khoob hooraan’e jinaaN meiN Hurr ki mehmaani hui
ho chuka ta’araaj jAb duniya meiN baagh’e Mustafa
tAb Yzeed’e ru_siyah ko bhi pasheimaani hui
zulm se Shimr’e bUd imaaN ke, rahEy Koofa meiN aah
Aabid’e muztar ki zakhmi, pusht’e nooraani hui
roaz pard’e meiN shafaq ke, cHarkh roata hai lahoo
Karbala mein jabse shashmaahe ki qurbaani hui
Akbaro Abbaso Qasim, bhi huEy rUn meiN shaheed
aur rangeen khoon se, ShAh ki bhi peishaani hui
ashqiya ke asp tAk peetey rahEy darya se aab
aur baraaey Shaah’e bahro bAr, nigehbaani hui
jis ke darwaaze pa rahta tha Malaaek ka hujoom
haaey kya baad’e Nabi uss ghar ki weeraani hui
Panjetan ka khaatema Shimr’e laeeN ne kar diya
asr ko sajd’e meiN khAm, jAb ShAh ki peishaani hui
jab kinaare naher ke shaane katEy Abbas ke
haath maujoN ne maley, darya meiN tughyaani hui
aaftaab aaya gahen mein, ho gai duniya siyaah
gUl hayaat’e Shaah ki jab, shamme nooraani hui
muztareb aey Fikr* kyuN ho, jaaogey Karb o Bala
hai agar qismat meiN, aur ta’aeed’e Rabbaani hui