khiNchi hai teigh ke hai charkh par hilaal’e

Noha

khiNchi hai teigh ke hai charkh par hilaal’e aza
sawaad’e shabb hai ke khaimoN se hai dhuwaaN utTha

na chaand deikhte hi kis tarah baheiN aaNsu
isi maheene meiN Ahmed ka ghar tabaah hua

yeh chaand wo hai ke dasweeN ko jiski haaEy ghazab
sarey Hussain hua waqte asr tUn se juda

yehi wo chaand hai jis meiN ke ahle Koofa ne
jalaaey khaime aur ahl’e Haram ko loot liya

imame waqt jo thEy baad’e Sarwar’e zeeshaaN
isi maheene mein aadaa ne unko loot liya

hua tha jinke makaaN se riwaaj parde ka
isi maheene meiN cheeni saroN se unke rida

thEy jamaa koochao baazaar meiN tamashaai
hujoom’e aam meiN ahle Haram ka sAr tha khula

khuda ke waaste kuch zaalimoN taras khaao
hujoome aam kuja aal e Buturaab kuja

Yazeed takht pa hai, zeire takht farq e Imam
sAr e Hussain kuja, majlise sharab kuja

hai ishtiyaaq e ziyarat se Hind meiN be_taab
bula lo Fikr* ko raoze pa apne aey Maula

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *